Khooni Hastakshar..

These lines used to fill my heart with "Josh-e-Junoon" when I was a kid,the poem I can never forget in my life.Now at 20, I exactly know how this world is, but the magic of this great bead of words remains same for me.. Read and Enjoy.


Wah khoon kaho kis matlab ka jismein ubaal ka naam nahin
Wah khoon kaho kis matlab ka aa sake desh ke kaam nahin

Wah khoon kaho kis matlab ka jismein jeevan na ravani hai
Jo parvash hokar behta hai veh khoon nahin hai paani hai

Us din logon se sahi sahi khoon ki keemat pehchaani thi
Jis din subhash ne burma mein maangi unki qurbaani thi

Bole swatantrta ki khatir balidan tumhe karna hoga
Bahut jee chuke ho jag mein ab aage marna hoga

Aazaadi ke charnon me jo jaimaal chadhai jayegi
Veh suno tumhare seeshon ke phoolon se goonthi jayegi

Aazadi ka sangraam kaheen paise par khela jaata hai
Yeh sheesh katane ka sauda nange sar jhela jaata hai

Aazaadi ka itihaas kaheen kali syahi likh paati hai
Iske likhne ke liye khoon ki nadi bahai jaati hai

Bole subhash is tarah nahin baton se matlab sarta hai
Lo yeh kagaz hai kaun yahan aakar hastakshar karta hai

Isko bharne wale jan ko sarwasv samarpan karna hai
Apna tan man dhan jan jeevan mata ko arpan karna hai

Par yeh saadharan patra nahin aazadi ka parwana hai
Is par tumko apne tan ka kuchh ujjwal rakht girana hai

Wah aage aaye jiske tan mein bhartiya khoon behta hai

Wah aage aaye jo apne ko hindustani kehta hai
Wah aage aaye jo is par Khooni hastakshar karta hai

Saari janta hunkar utthi hum aate hai hum aate hain
Mata ke charnon mein yeh lo hum apna rakht chadate hain

Saahas se bade yuwak us din dekha badte hi jaate the
Chakoo churi katariyon se woh apna rakht girate the

Phir usi rakht ki syaahi mein ve apni kalam dubate the
Aazadi ke parwane par hastakshar karte jaate the

Us din taaron ne dekha hindustani vishwaas naya
Jab likha maha ranveeron ne khoon se apna itehaas naya.

(Gopal Prasad ‘Vyas’)


Comments

Popular posts from this blog

An Untold Story

Experience worth a million words: Children's day celebration!

"Facebook" or "No Facebook"...!!!